What Haji Sahab says about Taalim, Tablig and Tazkiyah?
" Sabse pehle tablig mein nikla tablig mein nikal kar talab paida hoi,
phir amal karne ke liye masaail sikhne ki zaroorat mahsoos hoi tu ulama se raabta kiya,
phir jab Hazrat Maulana Abdul Haleem Sahab.ke paas gaya tu pata chala ke apne andar dil ke marz hai jinka ilaaj karna zaroori hai.
Talab paida karne ke liye tablig hai aur amal karne ke liye masaail ki zaroorat hai tu ulama se puchna hoga,
aur jab ye sab kaam karenge tu shaitan chood kar nahi jayega to dil ke ilaaj ke liye shaikh ki zaroorat hai
is liye sabse pehle number par tablig hai ke talab na hogi to na ulama ke paas jayega na kisi shaikh ke paas."
|